Apne chehre aur mathe se zuriya kaise hataye

Badhati umra ke karan chehere par zuriya ana ek am baat hai, sath hi sath care na karne ke karan bhi ye samasya ho sakti hai.

Kai aise karan hai jinse hame skin problem hoti hai jaise ki hamare mathe par zuriya ho jati hai. Jada sochne ki vajah se bhi mathe par zuriya badh sakti hai, vahi sahi matra mein Vitamin Mineral, Calcium na milne se bhi forehead par zuriya pad jati hai. Lekin ab apko jada sochne ki jarurat nahi hai. Kunki aaj me apke liye mathe ki zuriya mitane ki ek bahutahi effective home remedie batane vali hun.

Isko banana ke liye jitne bhi ingredient hum use karne vale hai wo bilkul natural hai. Ye apki mathe ki zuriyon ko dhire, dhire permanent remove kar denge. Isse banakar aap airtight container mein rakh sakte hai ye bilkul kharab nahi hoga.

Bananeka tarika

Ingredients:

1: Petroleum Jelly: Petroleum Jelly Isme Peracin hota hai jo wrinkle ho kam karne mein bahut hi faydemand hai

decoding="async" src="//ws-na.amazon-adsystem.com/widgets/q?_encoding=UTF8&MarketPlace=US&ASIN=B07MD6HJT4&ServiceVersion=20070822&ID=AsinImage&WS=1&Format=_SL250_&tag=kaush-20" alt="petroleum jelly for skin" title="अपने चेहरे से और अपने माथे से झुर्रियों को कैसे हटाएं">

2: Olive oil: Olive oil se wrinkle aur fine line se chutkara milta hai.

figaro olive oil for hair and skin

3: Badam oli: Badam oil bahut hi faidemand hota hai hamari skin ke liye, aur skin ko tight banana ke liye.

viva almond oil for hair and skin

Sari chiije 1 tablespoon lena hai aur acche se mix karke container mein rakhna hai. Raat ko sone se pahele apne saaf mathe par lagake circuler motion mein thodi der massage kare, aur raat aise hi rahene de. Aisa apko roj sone se pahele kam se kam 8-10 din karna hai isase zuriya asani se kam ho jayegi.

Chehere ki zuriya ye budhape ki nishani hai, ye ek aam baat hai, lekin kabhi kabhi bahut sare karno ke vajah se bhi zuriya jaldi ane lagti hai, jaise ki Dhumrapan karna , Tej Dhup mein jada der tak ghumna , Skin ki acche se care na lena, in sari vajahon se samay se pahele zuriya ane lagti hai aur hum jaldi budhe dikhne lagate hai.

Ye pareshani hum gharelu upay karnese mita sakte hai, to aaj me apko kuch gharelu upay bata rahi hun ise karne se aap zuriya mita sakte hai.

1: Pahela upay hai Badam ka oil: Badam ke oil mein ‘Vitamin E‘ hota hai, sath hi sath isme Moisturizing properties bhi hoti hai , aur bahut sare gun hote hai jo hamari tavcha ke liye gunkari hote hai. Sabse jada zuriya ankhon ke side mein dikhni lagti hai.

Kaise lagaye: Raat ko sone se pahele chehara pani se dho lena hai, uske baad thoda Badam oil apne hath par lekar halke hath se massage karna hai. Ankhon ki side mein ungaliyo se massage kare. Massage bahut hi halka aur dhire dhire karna chahiye. Roj massage karnese chehere ki zuriya kam ho jayegi. Skin tight bhi ho jayegi.

2: Kela aur Shahed: Kele mein bahut sare Vitamin S, Mineral aur Antioxidants hote hai.

Shahed mein ek prakrutik (humectant) hai, jo tawcha ki nami ko banaye rakhta hai. Ye nami zuriya ko kam karne mein madat karti hai. Iske alava Shahed ke Antioxidant gun twacha ki badhati umra ko kam karta hai.

Kaise lagaye: Ek paka hua kela lekar use masal kar uski paste bana lijiye, ab usme thoda Shahed milakar mix karke apne chehare par lagakar aadhe ghante ke liye chod de. Adhe ghante baad gungune pani se chehara dho ligiye. Apko ye upay hapte mein kam se kam 2 baar jarur karna hai

3: Fitkari: Chehare ki zuriya kam karne ke liye ‘Fitkari’ ka prayog bahut prabhavkari hai.

Fitkari mein thoda gulab jal milake apne chehare par lagaye to twacha mein kasavat aa jati hai.  Dhyan rahe ki Fitkari anhk mein na jane paye. Ise niyamit lagane se skin saaf ho jayegi, daag dhabbe mit jayange. Twacha mein nikhar ayega.