Gharelu upchar Mulaayam aur Chamakati tvacha ke lie –
Aaj main body polishing aur skin whitening ke 2 step share karoongi.
1st step body Scrubbing.
Samagree:
- 3 chammach of lal masoor ka aata.
- 1/2 chammach haldi powder.
- 2 chammach shahad.
- 3/4 bund of nimbu ka raas.
- 2 chammach gulab jal
Kaise istemal kare
Ek bowl me 3 chammach red lentil flour lelo use baad, 1/2 chammach shahad aur 2 chammach rose water aur in saari cheejonko acche se mix kare.
2: Ye mixture ab apne chehre aur gale pe lagaye aur 10min ke liye chod de, badme scrub kar le thode pani ka istemal bhi kar le aur badme normal pani se dho le.
Jyadatar skin whitening ke liye Lal Masoor daal ka aata bahot istemal kiya jata he, aur isse sun tan bhi nikala ja sakta he. Aur aap apke chehre ke annachaahe baal bhi nikal jate he, aur dead cells bhi nikale ja sakte he.
2nd step body polishing
Samagree–
1/2 chammach Glycerin
1 chammach of Rose water or 1 chammach Milk
Method:
1. Ek katore mein sabhi samagree daalen aur unhen acche tarah milaye.
2. Scrub karane ke baad aapako poshit tvacha paane ke liye iss polishing upachaar ko laago karana hoga.
Mulaayam aur chamakati tvacha ke lie body polishing.
Procedure: Step by step: Cleansing > Bleaching > Scrubbing > Waxing > Massage > Pack.
1-Step:
CLEASING – Pahele pure body ko milk se 8/10 min cleansing kare, baad me gile cotton se skin ko saaf kare. Cleansing milk achchhse se nikalne ke baad towel se ponch le.
2-Step:
BLEACH – ‘Body Bleach’ ek bowl me lekar pure body par lagana hai. 15 mi rakhne ke baad wet sponge se bleach ko nikal dena hai. Agar bleach ke karan skin par rashesh dikhe to Aloe vera lagakar 5 mi ke liye chod de, 5 min ke baad skin ko wet sponge se saaf kare.
3-Step:
SCRUBING -‘Body Scrub’ se hi scrub kare, isse dead skin nikal jayegi. Ek bowl me paryapt scrub lekar brush se mix kar lena hai aur pure body pe lagaye 5/6 min ke liye rakhna hai, thodi der baad halke hatonse circular motion me scrub kare.
Scrub agar dry lage to thoda pani ka haat me le sakte ho, aisa full body scrub karne ke baad thande pani se nahana hai. Garam pani se irritation hosakti hai. Baad me skin toner lagaye. Thodi der ke liye chod de taki skin normal ho jaye. Skin normal hone ke baad wax kare.
4- Step:
Waxing – Full body wax kare, waxing ke liye skin type dekhkar wax use karna hai. Market me bahot sare wax upalabdh hai, jaise 1- Soft wax, 2-Hard wax. Mostly Soft wax jada use hota hai. Full body wax hone ke baad wet sponge se clean kare.
5- Step:
Massage – ‘Body Cream’ se 4/5 mi tak halka massage kare. Massage karnese skin soft ho jayegi.
6- Step:
Pack – ‘Body Mask’ ek bowl me mask lekar thoda pani mix karke brush se full body par lagaye. 15 mi ke tak rakhe dry hone ke baad ek bowl me thoda milk lekar brush se mask ko loos kar lena hai, uske bad wet sponge se mask ko nikale aur last me gungune pani se nahaye.