Gharelu upachaar lambe, reshamee aur ghane baalon ke liye –
Amla oil se bal kare kale, ghane, lambe aur majbut
Sabse pahele aap Amla oil ke faide dekhle.
1: White Hair Yadi apke baal samay se pahele safed ho rahe hai, vaise age ke hisab se aaj kal sabhi ke baal safed hote hai. Chote bacchon ke baal bhi safed hone lagte hai Agar aap us samay Amla ka oil lagayenge to baal jaldi safed nahi honge uske sath, sath baalonki jade majbut ho jayengi.
2: Dryness Scalp bahut dry hota hai, khujali hone lagti hai, and dandruff jada ho jata hai to pareshani uar badhti hai, isise baalon ki jade kamjor hone lagti hai. Baal zadne lagte hai. Amle ka oil aise me Moisturizer ka kam karta hai, Scalp soft ho jata hai. Dandruff bhi kam ho jata hai.
3: Dryness ke karan baal ulazne lagte a, baalon mein khichav sa raheta hai, aise mein Amle ka oil conditioner ka kam karta hai. Amle ka oil lagane se baal smooth rahenge, silky ho jayenge.
4: Amle ka oil sir ke Parasite ko bhi dur karta hai , jaise ki kisi ksi ke sar mein jue ho jati hai , Bacteria ho jata hai to use bhi khatam kar deta hai .
5: Fungus kuch kuch logon ke baalon mein fungus ho jati he. Fungus hone ke karan baal kamjaor hone lagte hai, aur zadne lagte hein, ganja pan ane lagta he, yadi aap Amle ka oil lagayenge to is tarha ki bimari se nijat milegi.
Is tarah aap bahut sare baalonki bimari se buch sakte ho. Hamesha ye oil lagate rahenge to aapke baal silky aur smooth rahenge.
Amle ka oil banane ki vidhi:
250 gm taje aur hare hare Amle. Amle ko dho kar sukhe kapde se ponch lena hai, 250 gm mein lagbhagh 6/7 Amle aa jate hai. Amle ke chote chote tukde kat le aur guthli ko alag kar de, aise sabhi Amle cut kar ke Mixture mein barik pis lena hai.
Amla bina pani ke barik nahi pisa jayega to jis oil ko hum use karne vale hai vahi oil thoda dalke ke Amla pis lena hai. Amle ka ekdam smooth paste banana hai, bacha hua oil pura dalke acchese pisne se Amle mein jo Nutriant hai vaha jada se jada oil mein mil sake, aur hamare baalon ko uska faida mil sake.
Ab is paste ko lohe ki kadhai mein pakana hai. Lohe ki kadhai mein pakane ka faida ye hai ki jada se jada iron ki matra oil ke andar aati hai. Aap sabhi jante hai ki iron baalon ke liye kitne faide mand hai.
Oil pakate samay GAS low flame par rakhe jada tej aanch pe aap ise pakayenge to isme jo Nutrient hote hai o khatam ho jate hai. Isiliye dhire dhire anch par aap oil ko pakayenge to oli bahut accha ban jayega.
Isko banane mein time lage to bhi aap GAS ko badhayenge nahi , aur ek karan hai isme pani ki matra bahut hoti hai, tej GAS par pakane se isme pani raha jayega aur oil jaldi kharab ho jayega . Aap ise saal bhar nahi rakh payenge. 10/15 min mein oil chutna suru ho jayega, jaise jaise ye pakta hai oil chuta jata hai.
15 min mein pani ki matra puri tarah nikal jayegi Amla halke Brown rang ka ho jayega, GAS band kar dena hai. Oil ko thnda karne ke baad suti kapde mein dalke haath se press karke ise chaan lena hai. Bas ho gaya aap ka Amle ka oil ready.
Kaise lagaye:
Ek katori mein thoda oil leke halka garam kare aur Scalp par pahele lagale, baki bacha hua oil pure baalon mein lagaye aur 10 min massage kare, aur 25/30 min baad aap koi bhi shamoo lagake baal do sakte ho. Aisa hapte mein kam se kam 2 bar kare.