Apane haathon aur pairon se tan kaise hataen –

Taining to har mausam mein hoti hai, waise garmi ho ya sardi taining ki pareshani to hoti hi hai. Sardiyon mein aap full kapde pahan kar skin ko taning hone se bacha sakte ho. Magar garmiyon main aisa nahi kar sakte toh tanning hoti hai. Taning ki samasya tab aati hai, jab aap suraj ki tej roshani me jada samay bitate ho.

Sooraj ki hanikarak kirne aapki tvacha ko nuksan pahunchati hai. Iske sath hi jab aap Sunscreen nahi lagate ho to ye pareshani aur badh jaati hai. Twacha me asani se pharak najar aata hai. lekin aapko ghabrane ki jarurat nahi hai, agar aapke hath  tan ho gaye hai to hum aapko kuch gharelu upay bata rahe hai .

Haatonse se tan kaise hataye.

1. Dahi aur trifala choorn.

Ek katore mein thanda dahi le usmein thodasa trifala choorn mila le, achchi tarah mila ke paste banale, ab is paste ko nahane se 20 min, pahele apne haathon par lagaye. Agar aap chahe to ise aap apne chehere aur gale par bhi laga sakte ho. Hapte mein 3 bar karnese taining nikalne mein kafi madat milegi.

2: Haldi, Chaval ka aata, nimbu ka ras.

Tvacha ke kaiee saare samasyaon ko durr karane mein Haldi bahut upayogee hai. Ek katore mein thoda chaval ka aata le usmein ¼ tablespoon haldi le, aur  ½  tablespoon nimbu ka ras le mishran ko chamach se milaaye, ise apne haathon par lagale, thodi der ke baad pani lagake mild scrub kare, uske baad dho dale, aisa karnese pehali baar mein hi phrak najar ayega. Haath dhone ke baad moisturizer jarur lagaye kyoki nimbu se tvacha sukhi ho jati hai.

Tan nikalne ke liye jaruri nahi hai ki apko hamesha Pedicure aur Manicure hi karna chahiye. Aap gharelu chijonse tan ko asani se nikal sakte ho. Aaj mai apko ek scrub ki recipe batane wali hun wo bahut hi effective hai ye na sirf apke haat aur pairka kala pn dur karega but jo tanning ho gayi hai usse bhi dur karega. Apko bas hafte me 2/3 bar isse karna hai, aur apki problem bilkul solve ho jayegi.

 Samugri:

1- Coffee powder: yaha maine ‘Instant Coffee powder‘ ko use kiya hai. Ye ek acchha exfoliator hai. Skin se dead cells ho hatata hai. Skin ko light karta hai.

2- Brown Sugar OR Regular Sugar: Sugar ek accha exfoliator hai, aur ye apki skin tone ko even banata hai. Sugar aging process ko slow karta hai.

3- Chaval ka aata: Tan nikalne ke liye mai hamesha use karti hun, ye skin ko light karta hai .

4- Coconut oil: Maine ‘PURE VIRGIN Coconut oil‘ liya hai. Apke pass nahi hai to aap regular Coconut oil use kar sakte ho. Oil se apki skin Moisturize rahegi. Coconut oil Sun burn skin ko acche se treat karta hai.

Scrub banane ki vidhi: Scrub banane ke liye ek clean bowl le usme 4 tablespoon ‘Instant Coffee’ powder dal de, aur aage isme 4 tablespoon Brown Sugar dale agar ye nahi hai to regular sugar dale, ab 2 tablespoon chaval ka aata dal de, ab sari chijonko  acchese mila le. ab isme Coconut oil milana hai , pahele 2 tablespoon oil dale baad me jarurat lage to aur 2 tablespoon dal dena.

Ab sari chijonko ko acchese milana hai. Ho gaya apka scrub tayar. Aap chahe to isse store bhi kar sakte ho 1/2 hapte ke liye. Ye ‘Coffee Scrub’ bahuthi useful hai, isme coffee hai jo Sun Tan nikalne me bahutahi effective hota hai.

Scrub lagane ki vidhi:

Scrub lagane se pahele steam kare 5/10 min tak, steamming se pores khul jayenge aur exfoliation bhi acchese hogi. Ab scrub lagake massage karna hai, steamming ke baad apko haath aur pair ponchana nahi hai gile haton par hi scrub lagana hai. Konki scrub karte samay apko pani chahiye hi hoga. Scrub karne ke baad pani se dho lena hai, 1st use mein hi apko farak dikhega.

Tip: Apko hapte mein 2 bar karna hai agar tanning jada ho gai hai to hapte mein 3 bar scrub kare